Chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiya jaaye
jise dekh kar saans chalti hai aaj bhi
chalo usse dil se bhulaane ki koshish ki jaaye
jo aaj bhi sajaata hai mere sapnon ko
uss khwaab ko aaj mitaane ka samaan kiyaa jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaye.
Manzilen aaj bhi dhundhli hain
raaste aaj bhi sabhi uss dar pe ruk jaate hain
chalo in raaston ko ek naya morh diyaa jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaye
Har sahar har shaam ki mehakti khushbu mein
aaj bhi shaamil hai mohabbat ki woh tarhap
saawan ki boondon mein in ashkon ko milaane ki koshish ki jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaaye
Kahin door ufuk par dhalte sooraj ko samjhaya jaaye
aasmanon mein urhte panchiyon se kahaa jaaye
uss dar par koyee nishaan mere saaye ka na chodh jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiya jaaye
Is bheerh mein gum insaanon ko dhoonda jaaye
aaj phir mohabbat mein vishwaas dilaaya jaaye
aaj phir woh geet ishq ki galiyon mein gungunaaya jaaye
chalo aaj phir ek nayaa silsila shuru kiyaa jaaye
Aaj bhi meri saanson mein ghuli hai jiss ki chaahat ki kashish
ab uss gumnaam saaye se haath churaya jaaye
ab bhi aayeene mein dikhta hai woh chehra mujhe
aaj uss aayeene ko paani se dhulaaya jaaye
khud se aaj chalo khud hi ko ik baar milaaya jaaye
apne chehre ki lakeeron mein apni zindagi ko tarasha jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaaye...
No comments:
Post a Comment