Thursday, October 23, 2014

Toota hua chaand

Toota hua chaand aaj phir latka hai neele aasmaan par
Sochta hoga phir koi apne maathe ki bindiya mein chupa le
To poora ho jaaun main

Koi is parchaayeen ko apne narm haathon se mita de 
To poora ho jaaun main 
Koi ashq bhi hai jo chamakta hai aaj chaandni mein
Yeh ashq koi ponch de 
To poora ho jaaun main 

Roshni bhi maddham si hoti lagti hai
Koi pyaar se muskuraa de 
To poora ho jaaun main… 

Yeh toota hua chaand aaj phir poora hone ke khwaab dekhta hai
Dil mein aata hai keh dun usse 
Abhi kuch waqt hai shaayad
Maathe ki bindiyaa bhi chamkegi ik roze 
Parchaayeeyaan bhi mit jaayengi 
Woh ashq bhi muskuraayega ik roz
Pooraa hoga yeh chaand bhi 
Bas kuch waqt hai shaayad.

No comments:

Post a Comment