bahut muddat ke baad aaj aaina dekha humne
teri khushboo se aaj khud ko phir khelta paaya humne
yeh iptida hai ya phir intehaa hogi
khuda jaane kab dil ki tanhaiyon mein phir mulaqat hogi.
tum aabad ho…shukr khuda ka
kissi roz mujh par bhi to us khuda ki inaayat hogi
yakeen ho chala hai taqdeer par humein
ab dekhen kahan kiss morh par khadi qayanat hogi…
gumnaam hi reh jaayen to acha hai, yeh khwaab
naamon mein meri jaan waise bhi kya rakha hai
pehchaan gar dilon se ho to shaayad jee jaaye, is zamane mein
naamon se jo pehchaan ho
uski waise bhi kya umr, kya bisaat hogi…