kal raat chaand ko dekha tha
kabhi meri chhat pe
kabhi meri munder pe aa baithta tha
kabhi kissi aur ki...
athkeliyan kar raha tha
yaa phir dhund raha tha kissi ko...
adhoora sa
dheere se ufuk par laal roshni si chaa gayi
chupke se sooraj nikla aur
woh chaand usme saman gaya
har taraf ek garm...narm si dhoop khil uthi
sunehri chaadar si orh li
is duniya nein
raat ka safar poora ho gaya
woh chaand chup chaap sunehre sooraj ke gode mein saman gaya
raat ka safar poora hua...