the tremors that silently...quietly keep peeping out from those hidden crevices of my heart and yeah the head...may never end up taking a definitive form or shape...but they're there all the time...that's what silent rumbling is meant to be...
Monday, June 22, 2009
yeh khwaab
Hothon par hansi bhi rukne nahi aati
Lafz, jo zaban par aa aakar laut jaate hain
Khud ko yun jeene ka andaaz sikha rahi hun main
Mohabbatein hai, jo dil mein dafn hai
Aansoon hain jo ab palkon ko bhigote nahin
Haath kisi ke thaam kar jeene ki tammanna thi ab tak
Khud ko ab akele chalne ka andaz sikha rahi hun main
Tujhe chaah kar bhi kabhi apna nahin sakti hun main
Khud se khafa hun
Ya phir tumse bezaar
Phir bhi tere khwaab ko dil mein chupaye
Zindagi ko muskuraane ka andaz sikha rahi hun main
Jab aankhon mein chubhne lage khwaab bhi dil ke
Khud ko yun jeene ka andaz sikha rahi hun main
Bazaar
Kahin bikti hogi hansi, la do
dil ka sukoon shaayad mil jaaye, woh la do
meri aankhon ki roshni kho gayi mujhse, woh la do
uska pyaar bhi suna hai, aaj neelam ho raha hai
ho sake to mutthi bhar
mere dost, mere liye woh la do...
Angels of Evolution
Somehow, it made sense to me…for it re assured me of one fact…that everything in our lives, especially the tough and the bad…the harsh and the cruel only makes us better as a human being…we grow…we evolve…we learn…to live…better. Yeah it would be inhuman to say or even think that when your heart breaks you don’t hurt…you do…we all do…and it hurts like hell….you are in a state where nothing and no one makes sense. How you go about it, is to me a process…a technique. Initially, you cry, you’re angry, you’re full of self pity and worse you are filled with self doubts…until you realize that life has to move on…and you have no option but to do that…move on. Its then that I find my technique working…like in a training programme…you at first put all the sad thoughts aside…you cannot delete them or so I feel…you barely manage to put them aside and replace them with more positive ones…then it becomes a programmed response and someday, it doesn’t matter anymore… for nothing and no one is irreplaceable…everybody is…and once that happens, you somehow know that you have moved on and you are a much better much stronger person…
Through this journey what you fight is bitterness, cynicism, self pity, self doubt and so much more that’s painful…but all these incidents are painful but they are in the truest form…Angels of Evolution…ours…our physical, mental and most importantly emotional. They teach us the process of growth…beyond what we consider love, beyond the feeling that something or someone is so much more important to us than everything else including our own aspirations our own soul.
These unknown, unexpected and painful beings or spirits are not mere accidents of fate or destiny. They are truly our own Angels of evolution. Someday when the darkness is gone, we see it…until then...its mere angst...
Monday, June 8, 2009
burn marks or a badge of honour
Sunday, June 7, 2009
awareness of self... a journey
It is then that begins another journey…which is often times much tougher…a journey of self discovery.
A woman goes through so many different stages of not simply growth but of evolution until she finally faces herself in the mirror and then she begins to question all that she had held sacred until then including her very own existence and the purpose thereof.
By nature, by providence, a woman can feel everything , in the deep recesses of her being…perhaps the folklore that woman or the wild woman spirit, was created or crafted from the skin of the sole of the feet of the all - knowing, is true…for the sole of ones foot is supposedly powered to feel everything it touches or that touches it. Perhaps…or maybe the Almighty, the mother creator desired to create a living being on this earth that could feel and that might in return help preserve.
Friday, June 5, 2009
ek naya silsila
Chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiya jaaye
jise dekh kar saans chalti hai aaj bhi
chalo usse dil se bhulaane ki koshish ki jaaye
jo aaj bhi sajaata hai mere sapnon ko
uss khwaab ko aaj mitaane ka samaan kiyaa jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaye.
Manzilen aaj bhi dhundhli hain
raaste aaj bhi sabhi uss dar pe ruk jaate hain
chalo in raaston ko ek naya morh diyaa jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaye
Har sahar har shaam ki mehakti khushbu mein
aaj bhi shaamil hai mohabbat ki woh tarhap
saawan ki boondon mein in ashkon ko milaane ki koshish ki jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaaye
Kahin door ufuk par dhalte sooraj ko samjhaya jaaye
aasmanon mein urhte panchiyon se kahaa jaaye
uss dar par koyee nishaan mere saaye ka na chodh jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiya jaaye
Is bheerh mein gum insaanon ko dhoonda jaaye
aaj phir mohabbat mein vishwaas dilaaya jaaye
aaj phir woh geet ishq ki galiyon mein gungunaaya jaaye
chalo aaj phir ek nayaa silsila shuru kiyaa jaaye
Aaj bhi meri saanson mein ghuli hai jiss ki chaahat ki kashish
ab uss gumnaam saaye se haath churaya jaaye
ab bhi aayeene mein dikhta hai woh chehra mujhe
aaj uss aayeene ko paani se dhulaaya jaaye
khud se aaj chalo khud hi ko ik baar milaaya jaaye
apne chehre ki lakeeron mein apni zindagi ko tarasha jaaye
chalo aaj ek nayaa silsila shuru kiyaa jaaye...