Tuesday, September 21, 2010

gar main kar sakti

Gar main kar sakti to meri jaan main yeh zaroor karti
Chupke se tere camera ke lens mein jaa baithti
Wo har manzar jo tu dekhta hai
Usse main bhi dekhti
Berang raaston ko apni mohabbat ke rang mein rang deti
Phoolon mein titliyon ko ghar deti
Hawaaon ko roop deti
Teri har tasweer ke rang chupkar badal deti
Phir teri jhunjhulaahat pe zaar zaar hansti
Teri ungaliyon ko choomti
Aur jab bhi woh camera tu uthaata
main tere haath ko daanton mein dabaa leti
kabhi kabhi jab tu nazaaron ko ghol ke pee raha hota
to tere chehre ko door se dekh choom leti
phir haule se hawaa ban kar tere baalon ko bikher deti
tere gaalon pe apne hothon ki namin chorh deti
teri aankhon ko apni ungaliyon se band kar sehlaati
gar main kar sakti to meri jaan main yeh zaroor karti
teri har tasveer ka rang chupkar badal deti
phir teri jhunjhulaahat pe zaar zaar hansti

wo ek lamha

Raat ko berehmi se cheerta hai
Mere dil ko aksar dabe paon aakar sawaal karta hai
Meri aankhon ko bewajaha rulaata hai
Mere lafzon ko yun udaasi ki chaadar peehnaata hai
Mere haathon ki lakeeron ko rangta hai
Kabhi haule se muskuraata hai
Kabhi chirhiyon ki chehchahahat ban
Aasmaan mein urhta hai
Kabhi phoolon ki khushboo saa mere seene mein ghar karta hai
Kabhi aayeena ban chup chaap mujhe dekhta hai
Phir raat ke sannate mein ghul jaata hai
Chaand ki chaandni sa chamakta hai
To sooraj ki garm lau mein pighalta hai
Dabe paaon meri chooriyon ki khan khan mein chup jaata hai

Wo tere jaane ka ek lamha.

waqt ke do kinaare

Waqt ke do kinaaron par chalte rahe
Aap bhi aur hum bhi
Yeh aur baat hai ki dilon ko faaslon ka ehsaas na hua
Badi muddat ke baad jo intekhaab hua
To yeh jaana, ki waqt ka dariya to kab ka sookh gaya
Na us paar aap the na is paar hum.

Har lamha teri jaanib hi guzra tha
Har dhdhkan jo tere dil se guzri thi
Mujhe bhi sanson ka pehraava, wahi diye jaati thi
Tujhe yaad kiya ho yeh yaad nahin aata
‘Falak’ ko rooh ka andaaz nahin aata

Ab yeh thehra hai
Ki yaad ab bhi nahin karte tumko
Bas is dil ki dhadkan ko mere dil mein,
akele dhadakna nahi aata
‘Falak’ ko rooh ka andaaz nahin aata.

dated : 3.9.2010

sehar

Sehar machalti hui, bund dareechon se aajaati hai
Khilkhilaati hui…
Phoolon ko rang deti hai
Sooraj mein roshni bharti hai
Meri aankhon ke khwaabon ko
Barhe pyaar se alvida kehti hai
Sehar machalti hui, bund dareechon se aajaati hai
Meri alsaayi baahon mein angraayeeyan leti hai
Meri dhadkan ka haath thaam kar, phir tera intezaar karti hai

Din bhar yunhi athkheliyaan karti hai
Rangon se mere jaagte sapnon ko sajaati hai
Mere ashkon ko teri mohabbat ki shiddat se ponchti hai
Mere udaas mun ko teri yaadon se bhar deti hai
Sehar jab chup chaap bund dareechon se aajaati hai

Saath saath chalti hai, mera haath thaame hue
Aur jab sham ka sunehra aanchal haule se dhalne lagta hai
Mere gaalon ko choomti hai
Meri aankhon mein teri tasveer chorh jaati hai
sham bhar main ussi tasveer ko nihaarti rehti hun
Teri aankhon mein khud ko dhaalti rehti hun
Ek aansoo jab anjaane mein beh jaata hai
Sham ke aanchal mein na umeedi ka chehra nazar aata hai
Phir main us sehar ka intezaar karti hun
Jo saath mere, tera intezaar karti hai
Jo har lamha, mere dil ko teri chaahat ke rangon se bharti hai

Sehar jab chupchaap bund dareechon se aajaati hai…


dated : 6.9.2010

ek awaara khayal

do aankhen hain, jo muddat se soyee nahin
ek aarzoo hai, jo aangan mein jhoolti rehti hai
ek dhadhkan...kabhi machalti hai to kabhi sehami si thehar jaati hai
har pal, yunhi ckokhat pe intezaar karta hai tera

...pattiyon ki sarsaraahat mein
teri bheeni si mehak chupaa rakhi hai
apne baalon mein tere choone ka ehsaas,
aaj bhi banaa rakha hai
ek khwaab hai, jisse intekhaab hai tera
ek haath hai, jo aaj bhi tere haath ko thaame hai

ek muskuraahat, jo labon pe thehri hai
ek ummeed, jo dil ki dhadhkan ko baandhe hai
ab isse mohabbat kehlo, ya phir, mera
ek awaara khayaal...

dated : August 2010