Wednesday, October 21, 2009

aisa taana bun de koi

Ek julaaha dhoond rahi hun
Aisa taana bun de koi
Kaprha itna buntaa jaaye
Har chauraahe pe palte
har bachche ko woh dhakta jaaye
Har ablaa ke daaman ko woh
Malmal kaa ehsaas dilaaye
Aisa taana bun de koi

Aaj lagtaa hai barsega baadal
Yun zor zor se garaj raha hai
Bhigo jaayega shehar ka daaman
Tapkegi chhat bhi iss baar
Daaman ko paiband lagaa tha
Chhat ko tukrha taank de koi
Aisa taana bun de koi
Ek julaaha dhoondh rahi hun

Bhool bhulaiyya banaa hai ghar bhi
kitne andhe ho gaye raste
Kahan se niklega ab sooraj
Uska rastaa banaa de koi
Kho gayi hai ab kehkashaan bhi
Taaron ki chamak dhundhli si hai
Raat ko rastaa dikha de koi
Aisa taana bun de koi
Bas ek julaaha dhoondh rahi hun.

Ghar mein chulhe ki garmi ho
Roti dal ki bikhri ho khushboo
Har aangan mein dhoop khili ho
Aankhon mein ek khwaab chamakta
Parhne jaayegi bachchi bhi ab
Ik baar yakin dila de koi
Aisa taana bun de koi
Bas ek julaaha dhoond rahi hun…

Tuesday, October 13, 2009

ek naya khel

Chalo aaj ek naya khel khelen
Raat aur din ke katghare se
Kaaynaat ko baahar nikalen
Khuli hawaaon mein saans lene ki ijaazat de den
Phoolon ko bahaaron ka ab intezaar naa ho
Khizaaon ko khushbuon se mehkaayen
Nadiyon ke paani ko
Garmi ke sookhe mein , ab lehraane den
Aao,aaj ek naya khel khelen

Sooraj ko chand taaron ke aangan mein
Aaj chod den
Uski roshni ko behijaab,
taaron mein baant den
Ufuk ko din – o – raat ki
aaj koi bandhish naa lagaayen
Kaus-e-kuzaah ko saawan ki dor se
aaj azad kar den

Chalo, hum tum aaj ek naya khel khelen

falak

berang raaston par
bikhre phoolon ko sameta usne
khoye hue alfaazon ko nazmon mein piroyaa
hathon mein hina ki laali sajaayee
benoor aankhon ko
khwaab dekhne ka hunar phir sikhaaya usne
meri tasveeron mein rang bharaa
mere ashkon ko, motiyon sa
apne dil ke taaron mein piroyaa

mere kaanpte badan ko
ek sunehri chadar urhaayi
aur haule se mujhe awaaz di...

...falak...

Friday, October 9, 2009

baghbaan

Khamosh sa kharha
sannate bhare aankhon mein
woh takta raha
girte hue patton ko
phoolon ko chod jaate hue rangon ko
haath barhaata to rok sakta tha
urh ke jaate hue parindon ko
magar woh khamosh sa kharha
unhen takta hi raha

shahar ka shor-o-gul
gum ho chala tha
sooraj ki roshni bhi
madham si ho rahi thi
phool patton ki cheekhen
parindon ki pukaarti aahen
uske dil ko tatolti rahin
magar woh khaamosh sa kharha
unhen takta hi raha

shaayad sannata kahin
uski rooh mein utar gaya
woh baghbaan khud hi
aaj murjha saa gaya

Saturday, October 3, 2009

ek khayal

Ek khayal jo har pal mere saath chalta hai
Meri tasveeron mein kabhi rang ban kar ubharta hai
Kabhi mere geeton mein alfaaz ban jaata hai
Mere hothon par hansi ban khilta hai
Kabhi meri aankhon mein namin ban kar behne lagta hai
Phir sajde mein dua ban kar thehar jaata hai
Ek khayal jo har pal mere saath chalta hai

Meri zindagi mein mera kaam ban kar
Mere hathon mein lakiren ban kar dikhta hai
Woh khayal jo sahar hone par sooraj ki kirnon saa
Aur raat dhalne par chaand ki chandni saa chamakta hai
Ek khayal jo har pal mere saath chalta hai

Sarhak kinare bachche ki bolti aankhon se jhankta hai
Pattiyon ki sarsarahat ban kar kuch keh jaata hai
Phoolon mein khushboo ban kar
Berang raaston ko mehkaata hai

Ek khayaal jo har pal mere saath chalta hai…